Thursday, June 15, 2006

Aaj phir jeene ki tamanna hai...

Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir udne ki khwahish hai

Aaj toofaan ko mehsoos karne ki iccha hai

Aaj phir kuchh kar guzarne ka armaan hai

Aaj khade hokar kehna chahta hoon ki “Hey World…..Here I am.”

Kuchh adhoora sa hai kahin

Aaj sampoorn hona chahta hoon

Aaj rona chahta hoon

Aur thori si peena chahta hoon

Aaj madhosh hone ko dil bekaraar hai

Mujhe dagaa mat dena ai aaj

Mujhe kal se tumhara intezaar hai .

8 comments:

Daroga said...

thnx thnx !! thnx thnx !! :)

R said...

ahem
kripiya 'piye' nahi!!!:D

Cognizant name hoying!
but jee
aap toh kgp waale hai!!! cognizant toh kutch bhi nahi, aapke liye!!!
usse maxxx sahi companies milengi aapko!!!!
maxx sahi!!!

Daroga said...

bhelcome... raam pyaari ji...
to hamaar gaon!!
hausla dene ka shukriya..... dekhte hain ...kimat kahan par le jaa kar patakti hai!!!

Anonymous said...

saala ek ek karke itna pathak banaye the ek hi baar me sabko bhagane ka plan hai kya??...saala ye kya kachra likh diye...hum ko yakeen hi nahi ho raha hai aap likhe hain....jaldi se hataiye isse

Daroga said...

ka ho gaya bhai...... itna kharab lag gaya kya??

Daroga said...

waise bhi ye humari poetic skills dikhane ke liye nahin hai.....
bas mann kiya aur likh diye

Daroga said...

@kandykane
nice way to put this crap of mine :)
thnx

Anonymous said...

I'm impressed with your site, very nice graphics!
»